Kal ki Raat

Kal ki raat fir ek baar zindagi ki maut se mulaqat huyi,
Sehme-sehme kadmo se haule-haule aage badhti maut
apne ghoonghat k pat khol rahi thi.
Apne rukhsar se mayoosiyat ki laton ko hata,
wo bala ki khoobsoorati apne andar samet rahi thi.

Mujh se bhi haseen koyi aur mila hai kabhi?

Maut, kal tak tujh se bhi haseen thi meri zindagi.
Aur zindagi se haseen tha wo shakhs jo,
Kal ki raat mujhe tere aagosh mein chhod gaya.
Kal ki raat use paa kar koyi bahut khush tha,
Kal ki raat kisi par bahut bhari thi,
Kal ki raat fir ek baar zindagi maut se haari thi.
Kal ki hi raat mujhe saza-e-maut huyi thi.
© Devendra Lingwal

0 comments:

Copyright ©. Powered by Blogger.

Path to Success

Path to Success
Path to Success

Devendra Lingwal

Devendra Lingwal
author

Followers

BBC

Search This Blog

Powered By Blogger

Translate

Popular Posts

Search This Blog