Friday, July 8, 2016

Toot kar khamosh wahi hota hai jo beh kar dariya nahi hota ~ Devendra Lingwal

Kaun kehta hai ki her gham ko bhulane ka zariya nahi hota,
Toot kar khamosh wahi hota hai jo beh kar dariya nahi hota.
Zindagi koyi jheel nahi jise ghamo k kinare baandh kar baithe rahein umr bhar,
Zindagi wo sagar bhi nahi jismein ghamon k daur k kinare na hon
jo apni hi mauj mein janib-e-manzil behta rehta hai, behta rehta hai
Zindagi to khushiyon aur ghamon ki nadiyon se bana ek dariya hai,
Kaun kehta hai ki zindagi ka dariya paar nahi hota,
Toot kar khamosh wahi hota hai jo beh kar dariya nahi hota. -- © Devendra Lingwal

No comments:

Post a Comment